جلوس عماری موضح شیولی اعظم گڑھ

Tuesday, August 9, 2011

SMS on Maula e Kaa'inat, Hazrat Ali (A.S)


www.mdabbas.blogpost.com

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 Sadaqt-e-Haq Key Sertaj ko Ali Kehtey Hain
Mashiyat-e-Rab key Mizaj Ko Ali Kehtey Hian
Kamal-e-Insaan ki Hain? Miraj Musatafa
Or Mustafa ki Miraaj ko Ali Kehtey Hain

 

 

 

 

 

 Kuhram q Barpa Hy Zameen-o-Aasman Me
Lagta Hai Koi Zulm Hua Hy Jahan Me
Paida Hua tha Khana-e-Kaba Me Jo Ali(as)
Maara Gaya Hy Aaj Khuda K Makaan Me.

 

 

 

 


"Wo JIs Ne Maut Ko Bhi Apni Maut Maar Diya,
Ju Zindagi K Lye Zindagi Ka Baap Hua,
yeh Baat Taii Hai K"AADAM" Se le K Khaatim Tak,
Faqat ALI(A.S) N kaha k Main Kamyaab Hoaa,

 

 


 

 

 

 

ASKHBAR HUI YEH ANKH JO PURSA-E-IMAM MAIN
GOONJI SADA YEH ROZA-E-KHAIR-UL-ANAAM MAIN
GARYA KUNAN HAY JO TU GHAM-E-SHAH-E-TMAM MAIN
HAR JIN-O-ANS HAY MASHGOOL ISI AIK KAAM MAIN

 

 

 

 

MAH-E-SAYAM THA
ROZA RAKHE HOE SHAH-E-ALI MUQAM THA
SAJDA MEIN ZOJ-E-BINT-RASOOL-E-ANAM THA
NAGAH SAR PE CHAL GAI TALWAR ALWIDA
MARA GAYA NABI KA ALAMDAR ALWIDA

 

 

 

 

 

Zanjeer-e-Dar Ye Kehti thi Mola Na Jaiye

Murghabiyon Ki thi Sada  K Aaqa Na Jaiye

Tha Aasmaan py Shor K Mola Na Jaiye

Bachay Pukartay they Baba Na Jaiye

Q Aasman Surkh Hy Ye Kesa Raaz Hai

Dunya Me Aaj Ali(as) Ki Ye Aakhri Namaz Hai

 

 

 

 

 

 

 

Lai hai aik raat qayamat ki wo sehar,
Jab aasman phat k gira farshe-zamin per.
ZARBE sitam se zakhmi hai nafese nabi ka sar,
Takra rahe hain masjide kofa k baam-0-dar
Ro Ro k keh rahe hain pathar ALI ALI,
Chilla rahe hain masjid-0-mimber ALI Ali..

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 " BE JURM-O-KHATA QATL KIYA EK ROZA-DAR,
 JIN-O-MALAK SABHI HI HAIN IS GHAM MAIN SOGWAR,
 ROTAY HAIN SHABEER -O- SHABAR (A.S) ZAR-O-ZAR,
 IBN-E-MULJIM TUJH PER LANAT HO BESHUMAR "

 

 

 

 

 

 

 

HAY WAQTE SAHAR KHON MAY TAR WARISE QURAN.
 ROTI HAY AZAN MASJIDE KOFA BHE HAY GIRYAN.
TONE BINE MULJIM YE SITAM KESA Kar DiYA
SAJDE MAY NAMAZI KA ...LAHO KEON HAY BHAYA
 ABBAS(A.S) KO BACHPAN MAY KEYA CHAK GAREBAN.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 


logo jahaan main girya o matam ki shub hai aj,

sir peetu roz-e-hushr hai zarbat ki shub hai aj

bazmay aza main akay na rona ghazab hai aj

ghum say sabhi imamun ki halat ajab hai aj

paya jo mehway bandagiay bay niaz main

talwaar rozay daar ko mari namaz main

 

 

 

 

 

 

 

SHOR HOWA MASJID E KUFA MAI
LO QATAL HOWA BAIKASOO KA AMMER SAJDY MAIN
EK SHOR HAI AAJ PURY AALM MAIN
 TALWAR ROZY DAR KO MARI HAI NMAZ MAIN
AAJ YATEEM ZAINAB S.A O HASNAIN A.S HOTEY HAIN
DUNIYA SE RUKHSAT SHAH E MSHRAQAIN JOTY HAIN

 

 

 

 

 

Har koi zamane ka wali ho nahi sakta
 Aur sahib-e-ausaaf-e-jali ho nahi sakta
 Mat toal ise aqal ke meezaan mein majid
Jo aqal mein aajaye ALI (as) ho nahi sakta

 

 

 

 

ALI(A.S) KA ISHA MUKADAR SANWAR DETA HAY,

AUR UNKA BUGZ CHEHRA BEGAR DETA HAY,

TU UN K ZIKAR KO ADNA SAMJH RAHA HAY ZAHID,

WO AIK HATH SE KHABER UKHAR DETA HAY.

 

 

 

 

 

" HAWALA YAD NAHIN KITAB SOCHNAY DO,

KAHAN SE POCH RAHAY HO NISAB SOCHNAY DO,

ALI(A.S) KI ZINDAGI MAIN KOI AESA SAWAL TO LAO,

K JAB ALI(A.S) NAY KAHA JAWAB SOCHNAY DO










 JO JAGTA THA DEEN KI KHATIR TAMAM RAT,
 REHTA IBADATON MAIN MAGAN WO SARI RAT
 HUKM-E-RASOOL-E-PAK(S.A.W.A.W) SE AESA BHI HOGA,
 1 RAAT WO RASOOL(S.A.W.A.W) K BISTER PE SO GAYA,
 JIS DIN SE YE WAQIA ROONUMA HO GAYA ,
 ISLAM US KI NEEND KA MAKROOZ HO GAYA











Ali (as) Ki Ulfat Ka Taaj Rakhtay Hain
Har Marz Ka Ilaaj Rakhtay Hain
Ham Ko Kia Dar Yazeedyat Say Bhala
Hum Hussaini Hain Or Hussaini Mizaaj Rakhtay Hain









"Zehno say apnay duur ye teergi karlo
 Naad-e-Ali say Diloon main rooshni karlo
 jee rahay ho baghair Hub-e-Ali
 is say to behtar hai k tum khudkushi karlo"


" MERAY MOLA (A.S) KO HAQ KA WALI KEHTAY HAIN,

 KUCH AAQA KUCH SHER-E-JALI KEHTAY HAIN,,, 

TUM JIS KO ALLAH KI MADAD KEHTAY HO,,,,

HUM APNAY MAFHOOM MAIN USKO YA ALI(A.S) KEHTAY HAIN"








Jo Jaagta tha Deen ki Khaatir Tamam Raat,
Rehta Ebaadto'n mein maggan wo Tamam Raat,

Hukum-e-Rasool Pak se aisa bhi ho gaya,
Aik raat wo Rasool ke Bistar pe so gaya,

Jis Raat wo Rasool ke bistar pe so gaya,
Islam us ki neend ka maqrooz ho gaya.


 

 

 

 

 

 

 

KEHTA HOON YA ALI MADAD MAIN PEHLE SALAM SE 

Q K YE AK HADEES HAY KHAIR_UL_ANAAM SE 

SUN K ALI KA NAAM JO CHEHRA BIGAAR LE

KRNA NAHI KALAM US NSL_E HARAM SE...

 

 

 

 

 

 

" NA YE ZAMEEN THI NA KOI AFTAB THA,,,

ALLAH AUR NOOR-E-RISALAT MAAB(S.A.W.A.W) THA,,,, 

JIS DIN HOI THI KHILQAT-E-ADAM TURAB SE,,,,

US WAQT BHI ALI(A.S) KA LAQAB BUTURAB THA".,.,.,.,








"Vird-e-Ali Subho Sham Karta Hun
Ya Ali  Tere Chahne Walo Ko Salam Karta Hun
Adavat Nahi Kisi Musalman Se Mujhay
Mgr Nasl-e-Yazeed  Par Lanat Sar-e-Aam Karta Hun,









"Ali Wala Hr Dar Ka Sawali Ho Nahi Sakta
Bharay Jis Ka aLI  Daman Wo Khali Ho Nahi Sakta
Haji Ho ,Namazi Ho,Mulla Ho k Mufti Ho
Ali Ka Jo Bhi Munkir Ho Halali Ho Nahi Sakta.










kam mayegi e zeest ki dil mai kasak nahi, 

izhar e haq k bab mai koi jhijak nahi, 

himmat hai gar kisi mai tou mesam say cheen lay,

ye ishq e BUTRAB A.S hai bagh e fidak nahi.

 

 

 

Nahi aflak pay koi mehr e mubeen aisa,

wilayat ki angoothi mai nahi koi nageen aisa,

khuda mahfooz rakhay nazre bad say husn e HAIDER A.S ko, 

bari mushkil say paya hai NABI S.A.W NAY JANASHEEN AISA.

 

 

 

 

 

"JIS TARHA DUNYA MAI KOI ALLAH SAY BARH KAR NAHI ,

JIS TARHA DUNYA MAI RASOOL ALLAH KA HAMSAR NAHI ,

AIK HAI DUNYA MAI HAIDER, DOOSRA HAIDER NAHI ,

MISL-E-HAIDER ...YE KISI KI TAIGH MAI JOHAR NAHI ,

IK TARAF SAARI KHUDAEE, IK TARAF HAIDER KA WAAR.... !
















Jis Dil Men Shakh-Ulfat-Haidar Khili Nahi
Us Dil Ko Kahin Sukun Ki  Daolat Mili Nahi
Hamen Tou Zindagi  Ne Dars Hi Yahi Diya
Us Zindagi Py Lanat Jis Me Ali(as) Nahin







"KABEY ME AAJ KON YE AYA HAI SHAN SEY 
ANEY LAGEY ZAMEE PE MALAK ASMAN SEY 
HATOO KO MALTEY REH GAYE SAB DUSMANE DIN 
BABEY ALI PEY UTRA HAI TARA JO SHAN SEY 
ZAHRA KA AQD HOGAYA SHERE KHUDA KE SATH
AB TEER PHEK TE RAHOO TOTI KAMAN SEY






Mere ali ka Zamaney mai bol bala hai,
Falak pe zikr hai quran mai hawala hai 
Na dekh paongey mola ki bholi sorat ko 
tumhari ankhon pe boghzey ali ka tala hai







Wo kon hay jo midhat-e-Haider(as) say rok
de????
khud ko berha kay nar-e-jhahanom mein jhonk de!!!!
masjid mein tujko Nar-e-Haider haI na ghawar!!!!
ja Murtuza(as) ko Kabay mein anay say rok de!!!!






Jin ki mehfil main mere Mola(AS) ki baatain nah milain ,
Us se achi mere Mola(AS) meri tanhayee hai
or Ishq-e-Haider(AS) main laazim hai fana hojao
Is se kam ishq nahin ishq ki ruswaayee hai







Talash kerta hai Kisko Jahan Ali (A.S) k Siwa
Nahin hai koi nahin hai Yahan Ali (A.S) k Siwa
Ager Nazar mein Hai Koi to Saamnay Laao
Ho jiski Zaat pe Rab ka Guma Ali (A.S) k Siwa
Ye Kis k Noor se Raushan Hai Khaana e Kaaba
Charaagh Jalta hai kiska Yahan Ali (A.S) k Siwa
Jo Aalmeen ki Mushkil Kushaai ko Aaey
Koi Azal se Abad tak Kahan Ali (A.S) k Siwa








"Kashti-e-Haq ka kinara Ali (a.s),
Sab saharon say barhh kar sahara Ali (a.s);
Dunia waalon, humain kuch nahin chahye,
Sari dunia tumhari, humara Ali (a.s)."









"Bagher naam-e-Ali (a.s) jo azaan deta hai,
Khuda kay ghar wo adhoora bayan deta hai;
Ali (a.s) kay haq ko chhupao ge kis tarah logon?
Ali (a.s) kay haq ki gawahi Qur'an deta hai."








"Yeh baat aur kay wo boriya-nasheen tha, magar,
Hamesha zair-e-qadam takht-o-taaj rakhta tha;
Ajeeb shakhs tha, faaqon mein ji raha tha, magar,
Wo apni mutthi mein sabka anaj rakhta tha."







"Ali (a.s) ka naam jo lekar kalam kartay hain,
Unhen farishtay bhi jhuk kar salam kartay hain;
Pukaartay hain jo mushkil mein meray Maula (a.s) ko,
Lehd mein bhi unki madam Imam (a.s) kartay hain."







"Ali (a.s) haq hai, haq ka asool bhi hai,
Ali (a.s) wali hai, shauhar-e-Batool (s.a) bhi hai;
Agar gunah hai 'Ya Ali (a.s) Madad' kehna,
Tau is gunah mein shaamil tera Rasool (s.a.w.a) bhi hai."









"Ali (a.s) ka adna ghulam hoon, sawab ley kar kia karoon ga?
Hai hubb-e-Haider (a.s) say dil moattar, gulaab ley kar kia karoon ga?
Lehad mein aya tha jo farishta, yeh keh kay wapis chala gya:
Likhi hai Naad-e-Ali (a.s) kafan par, hisaab ley kar kia karoon ga?"









"Jis ki qudrat nay Muhammad (s.a.w.a) ka wali likha hai,
Maula-e-Kull (a.s), tau kaheen sher-e-Jali (a.s) likha hai;
Uski azmat ko zamanay mein dikhanay kay liyay,
Chaand kay beech mein Allah nay Ali (a.s) likha hai."




"Lay zindagi ka khums Ali (a.s) kay ghulaam say,
Aye maut! Aa zaroor, magar ehteraam say;
Aashiq hoon, agar zara bhi aziyyat hui mujhay,
Shikwa karoon ga tera mein apnay Imam (a.s) say!"
(Shaheed Mohsin Naqvi's last poetry, after getting shot; produced in the ambulance.)












"Kyun jaltay ho Ali (a.s) kay kamaalaat dekh kar?
Izzat Khuda bhi deta hai auqaat dekh kar!
Aisay waisay ko milti, tau na hilti Zulfiqaar,
Talwaar Khuda nay di thi haath dekh kar."








"Pehlay yeh maan lay kay hain mushkil-kusha Ali (a.s),
Phir dekh teray waastay kartay hain kia Ali (a.s)!
Humari tau tal jati hain saari museebatain,
Jab hum kabhi khuloos say kehtay hain 'Ya Ali (a.s)'."








"Jisay Ali (a.s) ki wilayat ka aitraaf nahin,
Woh laakh sajday karay, yeh gunaah muaaf nahin;
Dilon mein bughz-e-Ali (a.s), badan pay Hajj ka libaas,
Teray naseeb ka chakkar hai, yeh tawaaf nahin."








"Zikr-e-Ali (a.s) jab bhi kiya, dil behl gya,
Jo dushman-e-Ali (a.s) tha, woh sun kay jal gya;
Dekha Ali (a.s) ko logon nay dosh-e-Rasool (s.a.w.a) par,
Kitnon ka dumm tau maut say pehlay nikal gya."





"Jaltay ho kyun Ali (a.s) kay kamalat dekha kar?
Izzat Khuda bhi deta hai auqaat dekh kar;
Milti jo aisay waison ko, na hilti bhi Zulfiqar,
Talwaar Rabb nay di hai, magar haath dekh kar."








Khuda kay ghar pay Ali (a.s) ka ehsaan hogya,warna,
Khuda jaanay, yeh but kab tak humaray humsafar hotay;
Jabeen-e-ibn-e-Adam (a.s) ilm kay darr ko duayen dey,
Hota na yeh darr, teray sajday darr-ba-darr hotay."








"Maanga Khuda say Abu-Talib (a.s) nay Ali (a.s) ko,
Bheja Khuda nay cheer kay Ka'abay ki jabeen ko."
"Fatima Assad (s.a) ki aaghosh mein bheja imamat kay phool ko,
Aaj poora kar diya Khuda nay Deen kay chothay asool ko."








"Ali (a.s) ki shan-e-wiladat barhi nirali hai,
Khuda say Fatima Bint-e-Asad (s.a) sawali hai;
'Kahan rakhoon wilayat ki naimat-e-uzma?'
Jawab aya kay 'Mera makan khali hai'."











"Haq ka haqeeqatan, mujhay haamil bana diya,
Mehfil mein-wajah-e-ronaq-e-mehfil bana diya;
Paida huay Ali (a.s) tau bola Khuda ka ghar:
'Tu nay mujhay tawaf kay qaabil bana diya'."











"Kashti-e-Deen ka sahara hai Ali (a.s),
Doobtay safeenay ka kinara hai Ali (a.s);
Aao, jahan walon, ek fesla kar lain,
Sari duniya tumhari, humara hai Ali (a.s)"












"Loag zikr-e-Ali (a.s) say jaltay hain,
Ilm ki roshni say dartay hain;
Aarzu hai nishan-e-Hyder (a.s) ki,
Par naara-e-Hyderi (a.s) say jaltay hain."













“Ali (A.S) ke nam se toofan khauf khatay hain,
Jinhen yaqeen nahin hai woh doob jatay hain;
Farishte qabr men kuchh aur poochtay hi nahin,
Zuban pe naam e Ali (A.S) sun ke laut jatay hain.”











“Pat’thar pe a’lam deen ka garha hota.
Marhab na sahi kisi ko tou pichharha hota.
As’hab.e.Payamber (S.A.W.W.A) tou sabhi thay maujod.
Dar.e.Khaibar na sahi, kuch tou ukharha hota.”












“Zikr-e-Haider (A.S) hi ibadat ka maza daita hai,
Naam laita hun, tilawat k maza dayta hai;
Jab nusayri meray Maula (A.S) ko khuda kehtay hain,
Jhoot tau hai, par haqeeqat ka maza daita hai!”







“Duniya ne deen ko ek lateefa bana liya,
Jab bhi jisay chaha khaleefa bana liya;
Jab se Rasool-e-Haq (S.A.W.W.A) ne kaha "YA ALI (A.S) MADAD",
Hum ne isko apna wazeefa bana liya.”










“Ali (A.S), Ali (A.S) se dilon ko suroor milta hai,
Nigah-e-fikr ko taza sha’oor milta hai;
Naseeb kaisa bhi ho, ya Ali (A.S) madad keh ker,
Khuda se kuch bhi mango, zroor milta hai.”











“Ali (A.S) ka naam ley ke chordh daitay hain safeeny ko,
Hamaray samnay khatraat mustaqil nahin hotay.”
“Mushkilon ka shukriya, mujh per enayat ho gayi;
Ya Ali Mushkil-Kusha (A.S) kehnay ki a'adat ho gayi.”












“Barson k intzar ka kitna sila dia,
Dono jahan ka sar meri janib jhuka dia;
13 Rajab ki raat ko bola Khuda ka ghar,
Qibla! mujhay tu aap ne Kaaba bana dia.”












“Jannat mein hen Ali (A.S), tau Kausar pe hen Ali (A.S),
Kaaba gawah hai dosh e Payambar (S.A.W.W.A) pe hen Ali (A.S);
Hijrat ki shab Rasool (S.A.W.W.A) ke bistar pe hen Ali (A.S),
Mehrab par Ali (A.S), tau mimbar pe hen Ali (A.S);
Har ja Ali (A.S) milen gey, na daman bachaeyye,
Bachna Ali (A.S) se hai to Jahunnum mein jaeyye.”













“Zameen-e-Haq pe hasad se shigaaf mat keejye,
Amal ko hukm-e-Khuda ke khilaf mat keejye;
Ali (A.S) ka bughz mila hai agar wirasat men,
Tau Kaaba ghar hai Ali (A.S) ka, tawaf mat keejye.”













"Mid'hat-e-Haidar (A.S) ki agar baat nahin ho sakti,
Aap say meri mulaqat nahin ho sakti;
Ishq-e-Haidar (A.S) na karoon, aur karoon Jannat ki talab,
Itni kam-zarf meri zaat nahin ho sakti;
















Meray honton pay saji rehti hai bus Naad-e-Ali (A.S)
Is say achhi tau munaajaat nahin ho sakti;
Naara-e-Haidari (A.S) maidan mein lagatay hain jo,
Aisay logon ko kabhi maat nahin ho sakti."










“Jo Murtaza (A.S) ki ziarat k khuwab raktey hen,
Wo apnay hissay mein “solid sawab” rakhtay hen;
Jo dil mein rakhtay hain tehreer apnay naad-e-Ali (A.S),
Wo ghar mein "lamp" nahin, aftab raktay hen;
Ali (A.S) ke jitnay laqab hen, sab hen asmani,
Wo aur hon gey jo "local khitab" rakhtay hen.”











“Jis shaks ke bhaijay mein likha Nad-e-Ali (A.S) hai,
Us shakhs ki Firdous talak call free hai;
Bay hubb-e-Ali (A.S) call jo Allah se milaye,
Awaz yehi aati hai, network busy hai.”










“Mansob mere Shah (A.S) se jo roz hogaya,
Mumtaz kainat me wo roz hogaya;
Jis din Ali (A.S) ne takht pe pehla qadum rakha,
Wo roz mah-o-saal me NAUROZ hogaya.”












“Likh likh k choomta hoon tera naam ya Ali (A.S),
Dil mein basa hua hai tera naam, ya Ali (A.S);
Lagti nahin hai is liye thokar mujhay kabhi,
Aata hai tera naam meray kaam ya Ali (A.S).”












“Nusyri aur men, dono Ali (A.S) se ishq kartay hain,
Ali (A.S) kya hai, pata dono ko Wallah nahin lagta;
Ali (A.S) insaan aur Yazdan ke maabain hi kuch hai,
Usay banda nahin lagta, mujhay ALLAH nahin lagta.”












“Ali (A.S) se jo bughz khana kharab rakhtay hen,
Ghazab hai wo bhi umeed e sawab rakhtay hen;
Suna hai tm se ishq e Ali (A.S) gunah hai tau,
Hum apnay paas gunah ka bhi sawab rakhtay hen.”












“Kisi bhi bazm-o-mahifel men jana tau Ali (A.S), Ali (A.S) kehna,
Wajood apna batana tau Ali (A.S), Ali (A.S) kehna;
Farishtay tumsay karen jo sawal turbat mein,
Koi jawab na dena, Ali (A.S), Ali (A.S) kehna.”












“Meray Imam se behtar koi imam nahin,
Ye wo kalam hai jis par koi kalam nahin;
Khush naseeb hai wo jo hai ghulam Hyder (A.S) ka,
Bud naseeb hai wo jiska Ali (A.S) imam nahin.”










“Jilayen murday thokar se, ubaahren doobta sooraj,
Jahan mein banda gaan e ba hunar aisey bhi hotey hen;
Ali (A.S) mera khuda hargizz nahin, lekin bata mujhko,
Khudawanda, khudaee mein bashar aisey bhi hotey hen??”











“Kamal-e ishq ALI (A.S), markaz e hayat ALI (A.S),
Hain bab-e ilm ALI (A.S), husn-e kaynat ALI (A.S);
Mila KHUDA se NABI (S.A.W.W.A) ko ALI (A.S) madad bun kar,
KHUDA ka raaz ALI (A.S) hai, NABI ki zaat ALI (A.S);













Wo jis ka naam hi kaafi hai maghfirat ke liye,
Wo mera deen ALI (A.S) hai, meri hayat ALI (A.S);
Mujhay lehad ke andheron se khof kion kar ho,
Mera imam ALI (A.S) hai, meri nijat ALI (A.S).”








"Dil ki mehfil ko sajao YA ALI (A.S) kehnay kay baad,
Mukiron ka dil jalao YA ALI (A.S) kehnay kay baad;
Mominon aur munkiron ka khud pata chal jaye ga,
Chehra, chehra aazmao YA ALI (A.S) kehnay kay baad."










"Musalmanon, kabhi Haq bhi hidayat bhool sakta hai?
Jo Allah ka Wali ho, wilayat bhool sakta hai?
Jo TV pay kaha us ne, us say koi poochhay:
Ali (A.S) Quraan hai, Quraan aayat bhool sakta hai?"











"Dast-e-Qudrat kay isharay ko Ali (A.S) kehtay hain,
Haq kay pur-noor kinaray ko Ali (A.S) kehtay hain;
Tum tau kehtay ho Ali (A.S) ka sahara hai bid'at,
Hum tau Nabi'on (A.S) kay saharay ko Ali (A.S) kehtay hain."










"Dil mein agar Iblees ki moorat hi na hoti,
Zehnon mein kabhi Haq say kadoorat hi na hoti;
Kartay sabhi insan agar pyar Ali (A.S) say,
Dozakh ko bananay ki zaroorat hi na hoti."














"Wo noor Kai'nat ki jo zindagi bana,
Ka'abay mein jab zahoor hua, tau Ali (A.S) bana;
Koi tau aisi baat Ali (A.S) mein zaroor thi,
Kuch ka khuda bana, tau kuch ka Wali bana."













"Ali (A.S) kay naam say sab kuch hi badal jaye ga,
Sar pay toofan bhi hoga tau tal jaye ga;
Ali (A.S) kay zakr say jis ko bhi dushmani hogi,
Paa'on shabnam mein bhi hoga tau wo jal jaye ga."












"Kitni haseen qabr ki wo raat ho gyi,
Maula Ali (A.S) say jab mulaaqaat ho gyi;
Munkir Nakeer aaye they karnay ko jab hisaab,
Mein nay kaha Ali (A.S) say baat ho gyi."










"Tum ne samjha hai sirf Khaibar hi urhaata hai Ali (A.S)?
Ya faqat pardaa-e-Mairaaj mein aata hai Ali (A.S)?
Mairay Karraar ki jurrat ka andaaz tau daikh:
Apnay soye huay qaatil ko jagaata hai Ali (A.S)."










"Ek aur manzar daikhna,
Ab soo-e-Khaibar daikhna.
Hain sar-nigoo baithay huay,
As'hab-e-sarwar daikhna.
Reh, reh kay Ahmed (S.A.W.W.A) ka wahan,
Apna muqaddar daikhna.
Aata hai kitnay naaz se,
Nafs-e-Payambar (S.A.W.W.A) daikhna.
Haidar (A.S) ki mutthhi mein zara
Marhab ka bhi sar daikhna.
Kehtay they us dum malaa'ika:
Ye hai payaam-e-Kibriya,
Jab bhi ho dukh ka saamna,
Lazim hai tum par ye sada:
Haq Ailiya (A.S), Haq Ailiya (A.S), Haq Ailiya (A.S)!"












"Baitha hai mushkilaat kay rastay mein haar kay,
Uth bud-naseeb! Daikh Ali (A.S) ko pukaar kay;
Marhab ka qatl bhi koi Khaibar mein qatl tha?
Phainka tha Zulfiqaar ka sadqa utaar kay!"












"Unneesween (19ween) hai, aap ka maatam hai, ya Ali (A.S),
Khoon ho gye, dilon ka yeh aalam hai, ya Ali (A.S),
Daftar jahan ka darham-o-barham hai, ya Ali (A.S),
Maah-e-sayaam, maah-e-moharram hai, ya Ali (A.S);
Maula (A.S) ki nazr karnay ko yeh ashk laaye hain,
Hum rozay-daar aap kay pursay ko aaye hain."













"Aaye duniya mein tau Allah kay mehmaan banay,
Bethay mimbar pay tau bolta Quran banay;
So gye farsh-e-Muhammad (s.a.w.w.a) pay Muhammad (s.a.w.w.a) bunn kar,
Uthay na they kay marzi-e-Yazdaan banay."






"Tasweer-e-kainat ka akkaas hai Ali (A.S),
Dil ko jaga dey, wo ehsaas hai Ali (A.S);
Aye banda-e-momin, tera dil kyun udaas hai?
Na'ara laga kay dekh, teray paas hai Ali (A.S)!"







ZULFIQAAR-E-HAIDRI:
"Mehwar say apnay ho nahin sakti idhar, udhar,
Rehti hai mujh pay Haidar-e-Karrar (A.S) ki nazar,
Maidaan men hamesha mein rehti hun ba-khabar,
Aaqa (A.S) ki baargaah say paya hai ye hunar;
Rakhti hun mein bhi apnay qadam daikh bhaal kay,
Dushman pay waar karti hun shajray khangaal kay."








"Lay zindagi ka khums Ali (A.S) kay ghulaam say;
Ay maut, aa zarur, magar ehtaram say!"







"Ali (A.S) ko kaun janay ga, kahan par faisla hoga?
Ali (A.S) kia hai? Ali (A.S) janay, Ali (A.S) ko hi pata hoga;
Namazon men Ali (A.S) aaye, tau kehtay ho kay baatil hai,
Ali (A.S) Ka'abeh men aya hai, bata Ka'abeh ka kia hoga?"







such hai har ishq ka anjam bura hota hai 
ishqey haider se magar kam bada hota haiI
bachpaney me jo kare kallaye ajdar tukde
wo jawa ho ke nusehri ka khuda hota hai






"ALI K ISHQ ME JAN SE GUZAR BHI JAYE GA 
JO KEH RAHA HE MAWALI WO KAR BHI JAYE GA
YE BOLI SHER KI AAMAD JIDAR E KAABA SE 
JO TU NE DAR NA BANAYA TO GHAR BHE JAYE GA
NAJOMI TAAKTAY REH JAYE GAY SITARAY KO 
ALI K DAR PE SITARA UTAR BHE JAYE GA"






"ULFAT KI WASTE HO YA AZMAT KI WASTE 
YA AHL-E-DEEN KI KHAS IBADAT KI WASTE 
HUM TO YEH SAMJHTE HAIN AE MURTAZA ALI (SA) 
KAABA BANA HAI TERI WILADAT KI WASTE"








Kia khaak woh darein ge lehed ke hisaab se
Mansoob hein jo khaak-e-dar-e-Buturaab (a.s.) se
Khyber mein dekhna ye hai Jibraeel (a.s.) ya ajal?
Lipta hua hai kon Ali (a.s.) ki rukaab se
Jo Ya Ali (a.s.) Madad ko gunah keh ke chirr ga'aay
Wo be-khabar hein mere gunah ke sawaab se










www.mdabbas.blogpost.com  







SMS on Hazrat Mola Hassan (A.S)






Wo aam kernay Imamat ka Faiz-e-Aam aya,
Jahan mein aaj mera doosra Imam(as) aya,
Ali(as) ka Chand Imamat ka Aftaab aya,
Kaha Rasool(saww) nay dekho mera jawab aya!












Saaray Aaza hon ikhattay tou badan banta hai,
Phool say phool milay jab tou chaman banta hai,
Harf-o-Awaaz ki tarteeb yehi kehti hai,
Husn Meraj ko pohnchay tou Hasan(as) banta hai!











Hussain(as) Quaid-e-Azam hai Haq paraston ka,
Jo maanta nahi shakhs wo dil ka khota hai,
Hussain(as) saaray zamanay say barh gaya lekin,
Kiya jo ghor tou dekha Hasan(as) say chota hai!











Meri Zabaan Se Barsen Ge Phool Aaj K Din.

Bohot Khush Hain Ali (a.s) -O- Batool (s.a) Aaj K Din.

Hassan (a.s) Aaye Hain Takmil'e Panjatan K Liye.

Darood ka Hai Musalsal Nazool Aaj K Din....















AJAAB DEKHNAAY KO SAMA MIL RAHA HAY.
MUSARRAT KA HAR SOO NISHAAN MIL RAHA HAY.
YAY FAIZAAY FIDA HAY YU JASHAN-E-HASSAN(AS) MAIN.
ZAMEEN SAY GALAY ASMAAN MIL RAHA HAY





Tabinda Hai Buhut Jo Amanat Hassan Ki Hai
Deen-e-Khuda Pe Khas Inayat  HASSAN Ki Hai
Tamheeds Karbala Ki Karen Ge Ye Istawar Pehlay
Mola Hussain(as)  Se B Ziada Zaroorat Hassan(as) Ki Hai















Lay Kar Hassan(as) Ko Goud Mai Bolay Rasool-e-Haq(saww)
Gulzar-e-Fatima(sa)Ki Ye Pehli Bahar Hai







Batool-Zada, Ali(as) ka Beta, Nabi(saww) ka N00r-e-Nazr 
Yahi hai, Har ik Tamana ka Baab-e-Aakhir, 
har ik Dua ka Asr Yahi Hai, 
Qaraar-e-Qalb-e-malaaika hai,
Sukoon-e-Rooh-e-Bashar yahi hai,
Nijaat ka Gur jo seekhna hay to 
sirf ye baat Jaan lena,
Khaya...al-e-Kuld-e-Bareen se Pehle 
Hassan(as) ko sardar maan lena













"Peda Huway Hassan(as) Tou  Chaman Me Bahar Hai
Chahry Pe Mustafa (saww)K Khushi Aashkar Hy
Jibrael Ko Hy Naaz K Jhula Jhulaengy
Tumharay Laal Pe Hum Sab Nisaar Hyn...








"Rashk-e-Qamar Yeh Aj Jo Hassan Turab Hai
Waqt-e-Nazool Aks-e-Risalat Ma,ab Hai
Chehra Numai Key Liye Dar Per Hajoom Hai
Godi Main Fatima(sa) K Gul-e-BuTurab Hai.











CHUTAY GI KIZB KI GURD E KUHUN AHISTA AHISTA
MITAY GI FIKR E INSAN KI THUKUN AHISTA AHISTA
ABI TAREEKH KO BUCHPUN KI SURHUD SE NIKALNAY DO ZARA
KHULAIN GE IS PE OSAAF E HASSAN A.S AHISTA AHISTA








"Kuch Nahi Mansab-o-Martaba Chahiye
Mere Mola Tera Aasra Chahiye
Dey Kay Takht-e-Hakumat Yea Bolay Hassan(as)
Aey Bhikari Tujhay Or Kia Chahiye.







Ay shahsawar-e-Dosh-e-Payambar meray IMAM,
Ay Wali-e-Behisht-e-barrin rehmat-e-tamam,
TOU ny piya hy zehr sy labraiz gham ka jaam,
Tujh ko gharoor-e-azmat-e-suqrat ka salam,
Insan ko ashti ka qareena sikha dia,
TOU ny dilon ko chain sy jeena sikha dia.









 Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai






Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may
unhe Hussain bhi apna Imam kehte hain



www.mdabbas.blogpost.com





SMS on Wali Al-Asr, Imam e Zamana (A.J.F)






"Taoheed Ki Qurbat Mai Maseeh Seekh Raha Hai
Garcha Wo Namazi Hai Abhi Seekh Raha Hai
Mehdi(as) Ki Eta,at Me Parhi Jay Gi Kaisay
Eesa(as) Kai Sadyon Se Yahi Seekh Raha Hai.










IBADATON KO MERI INTIZAAM HO JAEY,

AQIDATON KA BHI KUCH EHTAMAM HO JAEY,

BHATAK RAHAY HO ANDHERON MAIN ROSHNI K LIYE,

DUA KERO K ZAHOOR-E-IMAM HO JAEY








" SALAM KRNAY SHARIYT KA KUL NIZAM AAYA,

KHUDA K DEEN K LIYE SHUKR KA MAQAM AAYA ,

NAHIN AB KSI HADI KI ZARORT DEEN KO,

MUBARAK AAJ MERA 12WAN IMAM (AJ.FR) AAYA









"Itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai .













"Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.











"Is Aasrey Pe Dil-e-Beqarar Zinda Hai

Koi Tou Ashqo'n Ka Umeedwar Zinda Hai

Gham-e-Hussain Ko Biddat Zara Sambhal K Kaho

Abhi Hussain Ka Ek Sogwaar Zinda hai.












"Apnay Ghar Me Unhe Bulana Hy
Jin K Sadqe Me Ye Zamana Hai
Jab Mere Ghar Me Hun Panjetan Mehmaan
Kese Keh Dun K Ghareeb Khana Hai.








Bun Kar Hussain Aie Ya Sahibuzaman
Abh Tu Niqab Uthaie Ya Sahibozaman(A.S)
Areeza! Mola Mehdi(A.S)
Iztiraab Qalb Jo Bhi Hai Wahi Likha Kro!
Chasham K Awaan Ki Halat Sabhi Likha Kro!
Apna Kya Likhna Hai Wo Kis Baat Se HainBaikhabar!
App Kaise Hain?Kabh Ayen Gai ?Yahi Likha Kro!







Dedaar Kara do Ay Yousof-e-Zahra(A.S) Mujhye Dedaar Kara do !
Tarpaon na Pardah-e-Gaibat Ko Utha do !
Forqat Main Kare Wqt Guzarte Hain Abh A Jao!
Har Roz Nay Fitne Ubharte Hain abh A Jao!
Ankhon main hain jo khowab bikharte hain abh a jao!
hum Tashna-e-Dedar hain Jalwa tu Dekha do !
Tarpao na Pardah-e-Gaibat ko Utha Do!








“Har raat Ibn-e Haidar-o-Zehra (A.S) ki yaad ho,
Har din Zahoor-e-Wali-o-Aqa (A.S) ki aas ho;
Ik aur eid aa gai, Mola (A.S) nahin aaye,
Bus yeh khayal-e-dard-o-a’lam saath saath ho.”








“Mein ye nahin kehta ke mujhay piyar nahin hai,
Faryaad tumhari koi baikar nahin hai;
Sunta hun, tarhapta hun, par majboor hun mein bhi,
Aaney se agarchay mujhay inkaar nahin hai;
Mein aaj hi aajaun, mujhay aar nahin hai,
Lekin mera lashker abhi tayyar nahin hai.”






"Ye 14 hain tau ILAHI, nizaam zinda hai,
In hi kay naam say Khaaliq ka naam zinda hai;
Manna kay jashn batatay hain hum zamanay ko:
Hum hi wo loag hain jin ka Imam (A.S) zinda hai."







"Sehar qareeb, andheron ko door hona hai,
Zaleel dushman-e-Deen ko zaroor hona hai;
Bata rahi hain ye tabdeeliyan zamanay ki,
Kisi Wali (A.S) ka yaqeenan zahoor hona hai."







"Ay baagh-e-Askari (A.S) kay muqaddas tareen phool,
Ay ka'abaa-e-farogh-e-nazar, qiblaa-e-usool,
Aa, hum say kar khiraaj-e-dil-o-jaan kabhi wusool,
Teray baghair hum ko tau jannat nahin qabool;
Duniya, na maal-o-zarr, na wazaarat kay waastay,
Hum ji rahay hain teri ziaarat kay waastay."








"Muntazir hum hi nahin hain, muntazir hain Fatima (S.A),
Ab bhi Bait-ul-Huzn mein ro rahi hain Syeda (S.A);
Roknay Bibi (S.A) kay aansoo, aa bhi jaao jald, Imam (A.S),
Qatil-e-Mohsin (A.S) ko apnay haath say denay saza."






"Momin ki har sada ko tera intizar hai,
Eeman ki baqa ko tera intizar hai;
Phir rooh-e-inqilab ki haajat hai deen ko,
Aa ja kay La Illah ko tera intizar hai;
Sab ki yeh aarzu hai kay raah-e-Khuda milay,
Lekin Khuda ki raah ko tera intizar hai;
Parda hata kay dekh, meray daur kay Hussain (a.s),
Bay-chain Zulfiqar hai, bay-taab Murtaza (a.s),
Abbas-e-ba-wafa (a.s) ko tera intizar hai."






"Ali (a.s) kay Laal (a.j.f) say Haq ka nishaan baqi hai,
Imam (a.j.f) hain tau yeh sara jahan baqi hai;
Na apnay zor pay itna uchhal aye munkir,
Ali (a.s) kay ghar ka abhi ek Imam (a.j.f) baqi hai."








"Mujh say mera Imam (a.j.f) buhat door, door hai,
A'amaal hain buray meray, mera qusoor hai;
Taqwa nahin hai hum mein, haqeeqat hai doston,
Kesay milay wo hum say? Wo Allah ka noor hai!"
 


SMS on Hazrat Abbas Alamdar (A.S)







MANGOO TU TALAB KAR K SAKHI SHAHNSHA E WAFA SE,
 MAYOOS KOI NAI HOTA UN KI ATTA SE,
 HOTA HAI APNA ELAJ NA DUA SE NA DAWA SE,
 CHALTI HAIN YE SANSIEN TERY PARCHAM KI HAWA SE,









Bheja nahi tha Sher ko Jung ke Khayal se,
Lag jati warna aag neher mein Jalaal se,

Kat Kat ke gire zulm ke Parcham Zamin per,
Tera Alam Jawan hay 14 so Saal se.












GHAZI ABBAS ALAMDAR KE DIVANE HA,
HUM TU BAS AAP KE KIRDAR KE DEVANE HA
,BHAI HO KE BHI JO GHULAMI KA DAM BHARTE HAIN,
HUM ASAD AISE WAFADAR KE DIWANE HAIN











4 SHABAN AMAD HAY SHAH-E-WAFA KI,

DUA PURI HOI AAJ MUSHKIL KUSHA(a.s) KI,

YAHAN QAMAR BANI HASHIM KA CHAMKA,

WAHAN TAQDIR CHAMKI KARBALA KI,










"Alam Abbas (a.s) Ka Jis Din Se Rakha Hai Ghar Main
Khud Hi Karbala Se Hokay Hawa Aati Hai

Na Mumkin Hai Mujhe Chulay Koi Bemari
Maray Ghar Lay Ke Hawa "Khak-e-Shifa" Aati Hai.












"Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.










Apass mein ye bool rhaay soorma dar ka maray ...
Is dunya mein jeenay ka ab khatam hooway din pyaray ...
Tayyar kero jaldi Ab qabr mein janay ke...
Ye Dhoom Hai Maidan e Usi Sher Ke Aane Ki









Mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
Laao tou ata karnay main Abbas ka sani
Bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.....











Jo nathiq e Qura'an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai












Wafa Ki Aakhri Manzil Hai Abbass(as)
Hussain(as) k Dil Ki Taqat Hay Abbass(as)
Zainab Ki Chadar Ka Mahafiz Hai Abbass(as)
Sakeena Ki Aas Hai Abbass(as)
Karbala Ka Mola Hai Abbass(as)
Yazeed Ka Khaof Hay Abbass(as)
Zamana Kuch Bhi Kar Lay
Qamat Tak Baland Rahay Ga Parcham-e-Abbass(as)













Mola Hussain Ne Mola Abbass Ki Shan Me
Maidan-e-Karbala Me Farmaya
Paiman-e-Anwar-e-Jali Bhej Raha Hun
Main Khud Hun Wali Or Wali Bhej Raha Hun
Tum Ne Mujhe Is Dor Ka Samjha Hay Muhammad(saww)
Main Apny Zamanay Ka Ali Bhej Raha Hun







"Jo Mushkil Talta Hai Usay Ali (as) Kehtay Hain,
Jo Qismat Banaaiy Usau Batool(sa) Kehtay Hain"
Muhammad(saww) Se Le
Kar Hassan(as) Tak
Sabhi Ne Hussain(as) Ko Chaha,
Lekin Jisay Jussay Ne Chaha Usay Abbass(as) Kehtay Hain"







Mostafa Shabbir hai,Or Mortaza Abbas Hai
Manzil-e-Haq Hai Hussain Or Rasta Abbas Hai
Mashk-o-Alam,Josh-e-Wafa,Hokm-e-Imam
Ab Agar Dekho to Pori Karbala Abbas Hai








Saja rakhi thi dariya par ajab baraat pani ki
Bahut kerte the Ashrare yezidi baat pani ki
Magar sahil pe pahonche thokare mari chale aye
Bata di Hazrat-e-Abbas ne Auqaat pani ki.







ANKHOON SAY JOO GHAZI(A.S)KA ROOZA NAZAR ATA HAI.
DIL SAY JOO MAIN DAIKHOON TOO KAABA NAZAR ATA HAI.
MAIN MANTA HOON YEH RIZQ ALI (A.S) KA HAI LAIKIN
PANI TOO MUJHAY GHAZI(A.S) KI JAGEER NAZAR ATA HAI







*TAWAJJO*

Jab Hussain Rote, Malak Aake Jhulate Jhoola,
Yeh Kaun Araam Kar Raha Hai,
Hussain Jhoola Jhula Raha Hai!!!!









Sani koi ho nahi saktha ummul bani ke chand Abbas ka
Tasawar-e-Wafa kero to aatha hai lub pe naam Abbas ka

Sar uthao ge to gir Jaiga dastr-e-Ghrur
Iskader uncha hai Alam Abbas ka







Qalb-e-Haider se uthi aur arsh-e-azam per gai
Surkhru ho ker jo palti wo dua Abbas hai.
Ye haqikat hai ki hai Shabbir dil Islam ka
Aur us dil ki dharkan ki sada Abbas hai.







Anboh-e-Gham Mien Sabr Ki Talwar ban Kay Jee.
Abbas Ki Wafa Ka Talbgar Ban Kay Jee.
Is Dor-e-Zolm-o-Jor Ko Dena Hai Gar Shikast.
Mazlom-e-Karbala Ka Azadar ban Kay Jee....








Joo meray Ghazi tera Tazkara naih karta.
Woh Bewafa hay Aalam say Wafa naih karta.
Joo tera wasta dayy kar Duaa naih karta.
Issar duaa ka duaa koo KHUDA qabool naih karta.
ALI (as) kay shair teri uzmat-e-Duaa koo sallam.
Wafain karti hain ab bhi teri Wafa koo sallam.











Umul Baneen nay betay ko bedar kar diya.
Her jung fatha karnay ko taiyar kar diya.
Abbas ko laga kay kalejay say barbar.
Itnee duain deen kay, alamdar kar diya.







Yeh Kaun Ayaa Hai Darwaazay Pe,
Ali Khud Muskura Rahe Hain,
Is Shaqs Ko Alam Mile Ga,
Abhi Se Tevar Bata Rahe Hain...





HAR HARF KAAINAAT KA AKKASH BAN GAYA.
DEKHA JO GHOR KAR KAY TO ABBAS BAN GAYA.
JAB BHI NABI KAY DEEN PAY KOI HARF AA GAYA.
ABBAS FATIMA KI DUA BAN KAY CHA GAYA.







Ayat-e zuljalal hi jiska hisar ho
Abbas us wafa ka akela Makan hai
Siffin me ye kehte the kuffar alaman
Abbas me Ali ki har ek aan baan hai








Quwate Qalb-e-Hussain ai arzo-e-buturab
La nahi sakte do aalam hashr tak tera Jawab
Kahti hai duniya tume mah-e-bani hashim magar
Karbala ne kerdiya tujhko wafa ka aftaab






Puchtah ho ki abbas ki haibat kia hai
Pehle ja ke Mallum kero ki Qayamt kia hai
Jisne nazroo se he rokka the Yazadi Lashker
Use Talwar uthne ki zarurat kia hai 







Babul Hawaej Hazrat Abul fazlil Abbas (a.s.):
Muhabbat Ki Anaa Joshe Ghazab Laati To Kya Hota...
Jabeene Wadae Haq Pa Shikan Aati To Kya Hota..
. K Is Nuqte Pe Aksar Karbala Bhi Sochti Hogi... 
Agar Shano Se Pehle Mashk Chhid Jati To Kya Hota...





“Ali ke sher, barha hosla dia tu ne;
Qalam ko tegh e tafakkur bana dia tu ne.
Hamaray seenon ko darya e tashnagi dekar,
Dilon ko mashk e Sakina (S.A) bana dia tu ne.
Laga ke seenay se mashkeeza aur tashna labi,
Wafa o sabr ka ek maujza dia tu ne.
Amaan namay ke purzay urha ke maqtal men,
Wafa ka lafz mujassam bana dia tu ne.
Chhidi jo mashk e Sakina tau sath pani k,
Lahu ka apnay samandar baha dia tu ne.”





“Abbas e Alamdar (A.S), Abbas e Alamdar (A.S).
Tum ruh e Ali (A.S), Jan e Hussain ibne Ali (A.S) ho;
Tum ibne Wali, ibne Wali, ibne Wali ho;
Hai dushman e deen ke lye bazu tera, talwar.
Tum Fatima Zehra (S.A) ki duaon ka asar ho;
Tum dhoop men Zenab (S.A) ke lye misl e shajar ho;
Parcham ka pharera hai tera aisa hawadar.
Haidar (A.S) ne namazo men jo Allah se manga:
Kehte thay Khuda de mujhay Abbas (A.S) sa beta,
Wo jisko kahe sara arab Ghazi o Jarrar.
Abbas e Alamdar (A.S), Abbas e Alamdar (A.S).”





“Naam ABBAS (A.S) ka likh kar jo pehna deta hai,
Us k båchon ko KHUDA sher bana deta hai;
Thak k so jatey hain bachay jo Azakhano mein,
Apnay daaman se Malak unko hawa deta hai;
Apnay bächon ko sikhatay nahin maatam hum log,
Naam ABBAS (A.S) ka khud hath utha deta hai;
Itni daulat bhi kahan teray khazanay mein Yazid,
Jitni ek SHEH (A.S) ka Azadar luta deta hai.”





“Mujh say kisi ne kaha wafa ki misaal do
Mein nay qalam uthaya aur ABBAS (A.S) likh dia.”







“Hum apnay gharon pe lagatay hain jo Moula Abbas (A.S) ka panja,
Es sher badshah ki dahshat ka nazara hi barha hai;
Hum mast malangon ko nahin kisi ki zarurat,
Moula Abbas (A.S) k hathon ka sahara hi barha hai.”










“Jab lasha e Qasim (A.S) ko Alamdar (A.S) nay dekha,
Qabzay ki taraf taìsh se jarrar nay dekha,
Munh bhai ka ro ker Shah e Abrar (A.S) nay dekha,
Ki arz barha daagh, namak khwaar nay dekha;
Taighon se ajab sarw e rawaan kut gaya Aaqa,
WALLAH ke dil zeest se ab hat gaya Aaqa.”






“Kis kis se larhay tashna dahani mein wo be aas,
Hamdard na koi na madadgar koi paas,
Wo foj ka nargha, wo hujoom e alam o yaas,
In sab se siwa mashk ke chhid janay ka wiswas.
Barhtay thay kamandar tau ruk jatay thay Abbas (A.S),
Teer ata tha jab mashk pe, jhuk jatay thay Abbas (A.S).”







"Naam-e-Abbas (A.S) tha jis ka, wo Alamdaar-e-Hussain (A.S),
Lashkar-e-Shah ki bigrhi ko bananay wala;
Haath say aik a'lam gir gaya, majboori say,
Kitnay haathon mein a'lam day gaya janay wala."









"Jiss naam se himmat ko jawani ka ho ehsaas,
Bujh jaati ho jiss naam ki lazzat mein mairi piyaas,
Jiss naam ki a'zmat se wafa paati ho mairaaj,
Wo naam tau Abbas (A.S) hai, Abbas (A.S) hai, Abbas (A.S)."









"Shah-e-shuhda (A.S) laash-e-Alamdaar (A.S) say liptay,
Kis shoq say, kis yaas say, kis piyar say liptay,
Gham-khaar say, aashiq say, namak-khaar say liptay,
Zakhmi say, musaafir say, mada-gaar say liptay;
Yeh joash tha riqqat ka Sheh-e-jinn-o-bashar (A.S) ko,
Jis tarah kay rota hai koi baap pisar ko."







"Ali (A.S) nay Abbas (A.S) ko har jang fatah karnay kay liyay tayyaar kar dia,
Laga kay kalaijay say itni duaaen deen kay Alamdaar kar dia."























Khatam hai duniya ki tareekh-e-wafa Abbas(AS) par
Ibtida jis se bhi ho, haan inteha Abbas(AS) par
Saari duniya ko nuseri k Khuda par naaz hai
Naaz karta hai nuseri ka Khuda Abbas(AS) Par
Chaadar-e-Tatheer thora aur barh jaati agar
Ik siraa Zainab(SA) pe hota doosra Abbas(AS) Par







"Johar-e-zabt kay ehsaas say darr lagta hai,
Jang mein tapti hui piyaas say darr lagta hai;
Is lye Karbala Shaam say aaya na Yazeed,
Usko Maula (A.S), teray Abbas (A.S) say darr lagta hai."








"Maqtal mein donon haath kataanay kay baa-wajood,
Abbas (A.S) teray haath mein baazi hai aaj tak;
Tu nay badal kar rakh diye ma'eenay hayaat kay,
Tu tau shaheed ho kay bhi Ghazi hai aaj tak."






"Usay tehzeeb ki duniya mein hassaas kehtay hain,
Usi ko ghairat-e-karrar ka andaaz kehtay hain;
Jo qaabiz ho kay dariya par, piyasa hi palat aaye,
Wafa-daaron ki duniya mein usay Abbas (A.S) kehtay hain."






"Lafz ki shakal men ehsas likha jata hai,
Yani pani ko bhi piyas likha jata hai;
Meray jazbaat say waaqif hai mera qalam,
Mein wafa likhoon, naam-e-Abbas (A.S) likha jata hai."






"Wafa jis ka parhhay kalma, usay Abbas (a.s) kehtay hain,
Jisay sajday karay sajda, usay Abbas (a.s) kehtay hain;
Jo hai Shabbeer (a.s) ki quwwat, Ali (a.s) ko naaz hai jis par,
Jisay Zehra (s.a) kahain baita, usay Abbas (a.s) kehtay hain."






"Kia bataoon ap ko khush-qismati Abbas (a.s) ki,
Fatima Zehra (s.a) say hai wabastagi Abbas (a.s) ki;
Goad mein Zainab (s.a) ki day kar, hutt gyeen Umm-ul-Baneen (s.a),
Karbala pay waqf kar di zindagi Abbas (a.s) ki;
Hamlaa-e-Akbar (a.s) mein dekho nau-jawani ki jhalak,
Jurrat-e-Asghar (a.s) mein dekho kam-sini Abbas (a.s) ki;
Dushmanon ko khof hai, Zainab (s.a) ko par itmenan,
Jab talak khaimon mein hai maujoodgi Abbas (a.s) ki;
Paar kar paya na lashkar, aik halki si lakeer,
Thi tau halki si, magar khainchi hui Abbas (a.s) ki."





"Abbas (a.s), tera saani duniya mein kahan mumkin?
Duniya ko jo daita hai, us nay tujhay maanga hai."






"Wafa ko naaz hai jiss par, usay Abbas (a.s) kehtay hain,
Lagey jo saani-e-Hyder (a.s), usay Abbas (a.s) kehtay hain;
A'lam gaarhay jo patthar par, usay kehtay hain sab 'Hyder' (a.s),
A'lam gaarhay jo paani par, usay 'Abbas' (a.s) kehtay hain."





Yeh zameen, aaasman, khush hai sara jahan,
Aasman-e-wafa ka qamar aa gya;
Montazir they Ali (a.s) jiss kay ab tak, woh hi,
Sher-e-Yazdaan (a.s) ka sher-e-babbar aa gya;





Jiss kay dumm say wafa ko jawani mili,
Azm-e-Shabbeer (a.s) ko zindagaani mili,
Lo nisaab-e-ata'at mukammal hua,
Aaj Shabbeer (a.s) ka hum-safar aa gya."






"Baat idraak say aagey ki hai, kaun samjhay ga piyaar kay ehsaas ko?
Mustafa (s.a.w.w.a) nay jiss ko apni maa kaha, uss nay baita keh diya Abbas (a.s) ko."



 
 

SMS on Mohsin e Islam Hazrat Abu Talib (A.S)

 






ALLAH NE BAKHSHA ABU TALIB KO WO BETA.
 AISA TU ZAMANY MAIN KOI LAL NAHI HAI.
 KAFIR ABU TALIB KO WOHI KEHTY HAIN JINKA.
 NANHIYAL TOU MALOOM HAI, DADIYAL NAI HAI.

























" MUFTI YE KIS KE KUFR KA AEYLAAN HO GAYA,

SHAYYAD TUMHARI AQL KO HIZYAN HO GAYA,

JIS NE NABI(S.A.W.A.W) KO PALA WO KAFIR HAI AAJ TAK,

OR QATIL-E-HUSSAIN(A.S) MUSALMAN HO GAYA.





















Agar Muslmaan Nahin Hai ABU TALiB Tu Phir Nikah'e RASOOL Batil, 

Agar Nikah'e RASOOL Batil Tu Deen Ka Ruddo Kabool Batil,

Jo Deen Ka Ruddo Kabool Batil Tu Phir Fooroo Wa Asool Baitl,

Agar Fooroo Wa Asool Baitl Tu Phir Admiyat Fazool Batil,

J...esay Bhi ABU TALiB K Deen Ko Tashkeek Ka Hadaf Banane Ka Shok Hoga, Wo

Soch Le Hashar Tak Usi K Galle Main LaaNaT Ka Took Hoga...




















“Kahtay they Nabi (S.A.W.W.A) mein hoon dunya k liye rehmat,
Meray liye rehmat ka saaya hai Abu Talib (A.S);
Kis tarah kahey momen, kis tarah kahey kaafir,
Mufti teri gardan ka phanda hai Abu Talib (A.S).” 






“Wo haqeeqi mard, wo pekar e azm o sabaat,
Jisney thokar se ulat di Abu Leheb ki kainat,
Zaamin e azm e Payambar (S.A.W.W.A) bun gai jiski hayat,
Jis ke bachon ki thokar se they jahan mein mo’ajzat;
Jis ne bakhshi thi tujhay toqeer, aye insan yaad kar,
Aye bani Adam, Abu Talib (A.S) ke ahsaan yaad kar.”






"Mufti yeh kis kay kufr ka ailaan ho gya?
Shayed kay teri aql ko hiziyaan ho gya!
Jis nay Nabi (S.A.W.W.A) ko paalaa, woh kafir teray liyay?
Aur qaatil-e-Hussain (A.S) musalmaan ho gya?"









"Mein hoon Abu-Talib (A.S), meri pehchan yehi hai,
Kehtay ho nabuwwat jisay, gaudi mein pali hai;
Paida hua ghar mein meray Payambar-e-Akbar (S.A.W.W.A),
Baitay ki wilaadat meray Ka'abeh mein hui hai;
Ghar mein hai nabuwwat meray, ghar mein hai imaamat,
Jo maalika-e-Jannat (S.A) hai, bahu mujhko mili hai;
Kia hai mera eemaan, ab poochho Khuda say,
Bachpan mein nabuwwat meray seenay pay rahi hai;
Jo hum bhi na hotay tau yeh Ka'aba bhi na hota,
Ka'abeh ki yeh bunyaad meray Jadd (A.S) nay rakhi hai;
Qura'an mein maujood meray naam ka surah,
Pala hai nabuwwat ko, sana tab yeh mili hai;
Aye Khaliq-e-Qura'an, teray Qura'an ki ayat
Ayi na thi duniya mein, magar mein nay parhhi hai;
Talwaar kay seenay mein sulaya hai Ali (A.S) ko,
Tab ja kay Muhammad (S.A.W.W.A) ki kaheen jaan bachi hai;
Fatwa tau lagatay ho, magar yaad yeh rakhna,
Parday say ek aulaad meri daikh rahi hai."
 
 
 




SMS on Shahzada Ali Asghar (A.S) Ibne Hussain (A.S)





Ek Bar Parh K Daikh Lay Tareekh e Karbala 
6 Mah K Sagheer Nay Kia Kaam Kar Diya 
jitna Dya Hai Khoon Muhammad K Deen Ko
Asghar Nay Maa Ka Doodh Bhi Itna Nahi Piya







Teer jab hurmala ka chala
Nannhe asgar ne has kar kaha ....
Ja koi dusara teer
la kunki ye toh bekar hai








“Aankh soti hai, hamaray dil kabhi sotay nahin,
Apnay mansab ki fazeelat ko kaheen khotay nahin;
Teer kha ke, muskura ke, keh gaye Asghar (A.S) humain,
Hum hain Aulad e Ali (A.S), maidan mein rotay nahin.”










“Ye kon bay zuban hai, tumhein kuch khayal hai?
Durr e Najaf hai, Bano e baikas (S.A) ka laal hai.
Lo maan lo, tumhein qasam e Zuljalal hai,
Yasrab k Shahzaday ka pehla sawal hai;
Pauta Ali (A.S) ka tum say talabgar e aab hai,
De do, ke iss mein naamwari hai, swab hai.”










"Laashay kay munh ko daikh kay kehnay lagay ye Shah (A.S),
Bay-chaargi ka waqt hai, Asghar (A.S), Khuda gawaah,
Maa behnain ghar mein, baap pay yaan nargha-e-sipaah,
Ye raig-e-garm, aur ye badn-e-narm, aah, aah;
Dil saath nikla parhta hai, kyun-kar juda karoon,
Sonpoon kisay, litaaoon kahan, aah, kia karoon."










"Pani, pani kar gyi darya ko ek bachchay ki piyaas,
Tishnagi ko saans lenay ka qareena aa gya;
Teer kha kar hans parha Asghar (A.S) kuch iss andaaz say,
Sharm say qaatil kay maathay par paseena aa gya."












"Suno! Furaat ki lehron say aa rahi hai sada,
Ali (a.s) kay laadlay potay ki tashnagi ko salam!
Najaf kay Shah (a.s) nay Karb-o-Bala kay Shah (a.s) say kaha:
Hussain (a.s), mein bhi Ali (a.s) hoon; teray Ali (a.s) ko salam!"










"Har jung mein qanoon hai hathiyar say larhna,
Khanjar say kabhi, teer say, talwar say larhna,
Aata hi nahin logon ko ufkaar say larhna,
Samjhaaoon ga duniya ko mein kirdar say larhna;
Iss nasl say har nasl ko imdad milay gi,
Maa'on ko meray jhoolay say aulaad milay gi."
 
 




SMS on Shahzadi e Konain, Janab e Zehra (S.A)





Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila
Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila
Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila
Shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila
her aik apnay mertabay mein intekhaab hai
Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai











Tazkira Fatima Zahra Ka Zara Ho Jay
Kia Haqiqat Hai Zamany Ko Bayan Ho Jay
Us Se Allah-o-Nabi Ho Nahi Sakty Razi
Jis Se Shahzadi-e-Konain Khafa Ho Jay





YA RAB MERA HAR LAFZ SHOLA AEISA BANADAY........

JO MUNKIR-E-ZAHRA(A.S) KAY KALAYJON KO JALADAY........

Or WO LAANTI HAI JISSAY KAY RAZI NAHI ZAHRA(A.S).......

Laakh Os Ko zamana RAZI ALLAH banaday.............










Dar-e-Zehar Sa Koi Or Dar Dhond K La!
Duniya Main Nahi Milta Tu Jannat Se Dhondh K La!
Fakhar Hai Humain K Hum Is Dar K Ghulam Hain!
Tu Hum Jaisa Kisi Or Ka Moqadar Dhondh Kai La!













Jo waja-e-khilqat-e-zaat-e-Ra
sool (saw) hoti hai
Dua, usi ki dua se qubool hotia hai
Ye baat hum ne suni hai zabaan-e-Ahmed (saw) se
Jo apne baap ki maa'n ho Butool hoti hai







Agarcha farsh nashein thi falak bhi de deti
Ye bagh kia hai wo jannat talak bhi de deti
Samajh sakay na musalmaan Binte Ahmed ko
Sawal kartay to Zehra Fiddak bhi de deti








“Falak pe chand Muharram ka ho gaya zahir,
Janab e Fatima Zehra (s.a) ko ye batana hai;
Tumharay Laal ke hum sogwar hen Bibi,
Tumharay zakhm pe marham humen lagana hai.”












Agar kisi dil mein bughz-e-Haider (a.s.) ki dhool hogi
To phir har aqeeday ki har ada be-usool ho gi
Agar kisi se baroz-e-mehshar khafa ho gi Nabi (SAW) ki Beti (a.s.)
To phir bahisht-e-baree`n ki khuahish fuzool hogi














“Ho tau jaön mäin musalman mager ek gham hai:
Ho na jaon kahin rastay ko bhulanay wala.
Sun bhi rakha hai, kitabon main perha hai mäin ne.
Ek musalman tha Zehra (S.A) ko rulanay wala.
(These Are The Feelings Of An Indian Non Muslim Poet Göpi)












“Ye majlis-e-Shabbir (A.S) men niklay huay aansu,
Firdos ke baaghon men saja deti hen Zehra (S.A);
Shehzadi (S.A) zameen par inhen girnay nahin daiteen,
Bach jayen tau Kausar men mila deti hen Zehra (S.A).”













“Waisay kafu Batool (S.A) ka Kana’an mein bhi na tha,
Juz Buturab (A.S), aalam e imkan mein bhi na tha;
Is se barha milaap to Quran mein bhi na tha,
Aisa khushi ka mauqa kisi aan mein bhi na tha.
Ashab e Hal Ata (A.S) ko ye sa’at saeed thee,
Zehra (S.A) ke sogwar gharanay ki eid thee.”













“Chalo salam karain uskay aastanay ko,
Hussain (A.S) jiss ne diya paal ke, zamanay ko.”










“Arey o baghey Fidak chheen k khanay walon,
Dono aalam men na tum logon ka ghata hota;
Bheek men BINT E NABI (S.A) tum ko Fidak de deteen,
Haath phela ke jo tehzeeb se maanga hota.”









“Quran ke warison ki ye pehchan bangai,
Nikli jo baat munh se wo Quran bangai;
Hukm e Khuda se choomay qadam Syeda (S.A) ke jab,
Banjar zameen Arab ki gulistan bangai;
Chashm e falak gawah hai waqt e Mubahila,
Zehra (S.A) lab e Rasool (S.A.W.W.A) ki muskan bangai;
Farsh e ghum e Hussain (A.S) ki taaseer dekhiye,
Zehra (S.A) ghareeb khanay pe mehman bangai;
Utri thi jo Kitab Khuda k Rasool (S.A.W.W.A) pe,
Zehra (S.A) ussi Kitab ka unwan bangai.”








“Ye "Fay" se Fehm-e-Bashar ka hasil,
"Alif" se Alhamd ki kiran hai,
Ye "Toyain" se Taha (S.A.W.W.A) ke ghar ki ronaq,
Ye "Meem" se Manzil-e-Mahann hai,
Ye "Hey" se har Dosira ke Sultan ke Deen ki Purnoor Anjuman hai,
Ye "Zey" se Zeenat Zameen ki hai,
Ye "Hey" se Hidayatoan ka Chaman hai,
Ye "Rey" se Rehber Rah e Wafa ki,
"Alif" se Awwal Nasab hai iska,
Isi liay naam Fatima (S.A) hai, Janab-e-Zehra (S.A) laqab hai in ka.”









“Makhlooq kay Sultan (S.A.W.W.A) ki taskeen hai Zehra (S.A),
Yaseen bhi kehti hai kay Yaseen hai Zehra (S.A);
Islam ne Zehra (S.A) ki fazeelat mein kaha hai,
Mein Deen-e-Muhammad (S.A.W.W.A) hun, mera deen hai Zehra (S.A).”









"Jis ko Zehra (S.A) teri pehchan nahin hai,
Wo bashr saheb-e-eeman nahin hai;
Us ki bakhshish ka tau imkan nahin hai."











"Bagh-e-Fidak bhi chheen lia aur mukar geye,
Mimbar Ali (A.S) ka chheen lia aur mukar geye,
Maula Hasan (A.S) ko zehr dia aur mukar geye,
Zainab (S.A) k ghar ko loot lia aur mukar geye;
Rotay hain hum is lye shor-o-shain say,
Kal ko na mukar jayen ye qatl-e-Hussain (A.S) say."










"Takmeel-e-naqsh-e-Panjitan (A.S) ko ibtida hui,
Noor-e-Nabi (S.A.W.W.A) ki pehli kiran hai ayaan hui;
Ik silsila-e-noor chala arsh ta ba farsh,
Zahir Nabi (S.A.W.W.A) kay ghar mein hain jab Fatima (S.A) hui."









"Raazia (S.A), Marzia (S.A), Batool (S.A)hain aap,
Aap Siddiqa (S.A), Tahira (S.A), Zehra (S.A);
Aaj ka jashn aap say hai mansoob,
Aaj har lab pay hai sada: Zehra (S.A)."









"Zehra (S.A), teri jageer hai Jannat bhi, Fidak bhi,
Ye jabal, ye ashjar, ye paani bhi, falak bhi,
Shauhar ki taraf say hain ghulami mein Malak bhi,
Bibi (S.A), teray haq mehr mein shaamil hai namak bhi;
Bus teri zameenon pay busi jati hai duniya,
Sadiyon say faqat tera namak khati hai duniya."








"Batool (S.A), hum tera kia ehteraam kartay hain,
Ye haq ada tau Rasool-e-Anaam (S.A.W.W.A) kartay hain;
Zamanay walay tera ehteraam kion na karain?
Tujhay Rasool (S.A.W.W.A) bhi utn kar salam kartay hain."













"Khush rahain mehfil-e-Meelad mananay walay,
Apnay ghar Fatima Zehra (S.A) ko bulanay walay."










"Baba (S.A.W.W.A) ko rotay, rotay jo Zehra (S.A)guzar geyee,
Ghul parh gaya kay Bint-e-Nabi (S.A.W.W.A) kooch kar geyee;
Faaqon kay ranj seh kay huzoor-e-pidar geyee,
Mahboob-e-Kibriya (S.A.W.W.A) ki azadar mar geyee."










"Teri Zehra (S.A) ko zamanay nay sataya, Baba,
Ba'ad teray na dia chein say rehnay mujh ko;
Jo sitam mein nay sehay, kesay bataoon, Baba,
Na dia haq bhi mujhay, darr bhi giraya, Baba."











"Jis ko ye zehn pa na sakay, wo Batool (S.A) hain,
Jis darr pay Jibra'eel jhukay, wo Batool (S.A) hain;
Baitay tau maan kay darr pay rukay hain jahan mein:
Par jis kay darr pay baap rukay, wo Batool (S.A) hain."










"Tat'heer, Fatima (S.A) ki tabiyat ka naam hai,
Islam shahzadi (S.A) ki seerat ka naam hai,
Tasbeeh qurb-e-Haq ki alaamat ka naam hai,
Zehra (S.A) Zaboor-e-wird ki aayat ka naam hai;
Ghum mein sipar hain Faateh-e-Badr-o-Hunain (A.S) ki,
Ma'yaar-e-sabr ye hai kay maan hain Hussain (A.S) ki."








"Sitam ki ho geyee ye intiha Rasool (S.A.W.W.A) kay ba'ad,
Chali hain Fatima (S.A) haq mangnay Rasool (S.A.W.W.A) kay ba'ad;
Rasool-zadi (S.A) kharhi kion rahi sar-e-darbaar,
Ye kaun takht pay betha raha Rasool (S.A.W.W.A) kay ba'ad;
Shaheed ho gaya us ki hi zarb say Mohsin (A.S),
Darr-e-Batool (S.A) giraya gaya Rasool (S.A.W.W.AA) kay ba'ad;
Wo ja kay shehr say baher pidar ko roti rahi,
Kisi nay ghar mein na ronay dia Rasool (S.A.W.W.A) kay ba'ad."









"Jahil ko kabhi aalim-e-Qura'an nahin kehtay,
Ghasib ko kabhi deen ka sultan nahin kehtay;
Haji ho, namazi ho, ya phir ho koi aur,
Hum dushman-e-Zehra (S.A) ko musalman nahin kehtay."










"Kisi say poochho zamanay mein kaheen hai insaaf?
Aisa lagta hai kay duniya mein naheen hai insaaf;
Hai isi say tau adaalat ka libaas ab bhi siyaah,
Haq-e-Zehra (S.A) kay liye soag-nasheen hai insaaf."










"Wo jis dar pay farishtay sar jhukatay thay,
Aaj ahl-e-Saqeefa nay wo dar hi gira dia;
Wo jis ko Rasool (s.a.w.a) jaan say ziyada azeez rakhtay thay,
Aaj usi Bibi (s.a) pay darwaza gira dia."










"Naa'gaah Fatima (s.a) nay kia khuld ka safar,
Ronay lagey Wasi (a.s) -e-Payambar (s.a.w.a) jhuka kay sar;
Shor-o-fughaan mein doob gya Fatima (s.a) ka ghar,
Fizza (r.a) pukari paa'on kay talwon ko choom kar;
Shehzadi-e-Konain (s.a), meri makhdooma; alwida!
Ismat ki rooh, Sabira, Mazlooma; alwida!"












"I'brat ki ek daleel hai, gustaakh-e-Fatima (s.a),
Iblees ka wakeel hai, gustaakh-e-Fatima (s.a);
Usko kisi madad ki zarurat nahin, Raza,
La'anat mein khud kafeel hai, gustaakh-e-Fatima (s.a)."










"Darr say lagi wo kehti thi aansu baha, baha,
Kyun ghar mera jalatay ho, mein nay kya hai kia?
Ek shakhs nay sitam yeh kya, waa museebata!
Darawaza laat maar kar us par gira dia;
Pehlu pay aayi zarb jo Bint (s.a) -e-Rasool (s.a.w.a) kay,
Mohsin (a.s) hua shaheed, shikam mein Batool (s.a) kay."











"Jis ki tauqeer pay Quran nay qasam khaayi hai,
Roti darbar say chup chaap chali aayi hai;
Baat wirsay ki nahin, dukh hai mujhay ye Baba,
Teri tehreer musalmaanon nay jhuttlaayi hai."











"Quran-e-Mustafa (s.a.w.a) ki haqeeqat hain Fatima (s.a),
Mai'raj mein jo utri, wo ayat hain Fatima (s.a);
Hain a'alemeen kay liyay rehmat Rasool-e-Paak (s.a.w.a),
Aur khud Rasool (s.a.w.a) kay liyay rehmat hain Fatima (s.a);
Hasnain (a.s) maa kay qadmon mein bethay hain iss liyay:
Jannat kay Shaahzadon (a.s) ki Jannat hain Fatima (s.a)."












"Haya ki devi, wafa ki ayat, hijab ki salsabeel, Zehra (s.a),
Kaheen hai ma'soomiyat ka saahil, kaheen sharafat ki jheel Zehra (s.a),
Jahan-e-maujood mein bani hai wajood-e-Haq ki daleel, Zehra (s.a),
Zamanay bhar ki a'dalaton mein nisa ki pehli wakeel Zehra (s.a);
Hazoor-e-Zehra (s.a) bashar say hatt kay, Payambaron (a.s) kay salam bhi hain,
Kay iss kay saaye mein palnay walay Hussain (a.s) jesay imam bhi hain."













"Honton pay meray har dumm, mid'hat hai Syeda (s.a) ki,
Jo dil mein buss gyi hai, ulfat hai Syeda (s.a) ki;
Kyun maangtay ho darr-darr? Jao Ali (a.s) kay darr par,
Saayil ki jholi bharna, aadat hai Syeda (s.a) ki;
Jo rizq kha rahay ho,sadqa hai Panjtan (a.s) ka,
Ehsan maano, yeh bhi naimat hai Syeda (s.a) ki."











"Khalq mein Syeda (s.a) ki aamad hai,
Dukhtar-e-Mustafa (s.a.w.a) ki aamad hai;
Shor-e-Sall-e-A'al hai duniya mein:
Bint-e-Khair-ul-Wara (s.a.w.a) ki aamad hai."
 
 
 
 

SMS on Imam Ali Zain-ul-Abideen Al-Sajjad (A.S)



“Tum ne kamal, Abid e Beemar (A.S), kar dia;
Kitna buland sabr ka maiyar kr dia.
Khushi mili bhi agar koi ba'ad e Karbala,
Honton ne muskarnay se inkar kar dia.”






“Daita ho aseeri men jo Paigham-e-Rihai,
Tareekh men aisa koi qaedi bhi kahan hai.
Baazaar men Abid (A.S) ko guzartay huey dekho,
Zanjeer ki jhankaar bhi Akbar (A.S)  ki azaañ hai.”





“Zangeer toot jaye gi kehtay hi YA ALI (A.S),
Darbaar dekh ley ga ke “MUKHTAR” (R.A) kaun hai;
ABID (A.S) ka wo jalal tha darbaar e Sham men,
Hakim ye poochta raha beemar kaun hai.”






“Darbar main Yazeed ko hizian hogaya,
Khutba suna to kufur pareshan hogaya;
Sunkar azaan Syed e Sajjad (A.S) ne kaha,
Dekho hamari fatah ka ailaan hogaya.”





"Nikhray huay kirdar ka Qur'an hai Abid (A.S),
Sar chashma-e-Deen, azmat-e-Iman hai Abid (A.S);
Taqdeer-e-Ali (A.S), qismat-e-Imran (A.S) hai Abid (A.S),
Islam ki tareekh ka unwaan hai Abid (A.S)."






“Bun kay sajaway ki zeenat, ae Sajjad-e-Hazeen (A.S),
Choomti hai jink ay qadmon ko ibadat ki jabeen.”
"Zeenat hai ibadat ki, Wali Ibn-e-Wali hai,
Koi aur nahin, apnay zamanay ka Ali (A.S) hai;
Jab paish-e-Khuda koi bhi faryad karay ga,
Maula (A.S), wo dua'on ko teri yaad karay ga."





"Jab ghusl-o-kafan denay lagey Baqar-e-zi-jaah (A.S),
Dekha kay kayi daagh-e-siyaah pusht pay hain, aah,
Ro kar kaha kia cheez pasand aayi hai, ya Shah (A.S),
Iss Shaam kay hadyay ko lyay jatay hain humraah;
 Aankhon say jo ta resh lakeerain si ayaan hain,
Chaalees baras ashk bahanay kay nishan hain."





"Ek Shaam ka musafir beemaar-o-na-tawan hai,
Chehra lahu, lahu hai, zakhmon say khoon rawan hai;
Iss qaafilay ko guzray sadiyaan guzar chuki hain,
Aankhon say khoon ab tak beemar kay rawan hai."





"Tu raah-e-imtehan men saabit-qadam raha,
Sajjad (a.s), teray azm say haari hain bairhiyaan;
Kafi hai yeh daleel teri jeet kay lyay,
Khud zaalimon nay thak kay utaari hain bairhiyaan."






"Kaanton ko teri aabla-paayi nay rulaya,
Sehra ko teri aabla-paayi nay rulaya,
Zindan ko teri zakhm-numayi nay rulaya,
Sajjad (a.s) tujhay sari khudayi nay rulaya;
Tujh pay tau wo saa'at bhi qayamat ki gharhi thi,
Jab Sani-e-Zehra (s.a) sar-e-bazar kharhi thi."






"Kitab-e-azm-o-shuja'at hai Syed-e-Sajjad (a.s),
Khuda-e-sabr ki ayat hai Syed-e-Ajjad (a.s);
Wo jis kay sajdon ko sajda namaz karti hai,
Waqar-e-shan-e-ibadat hai Syed-e-Sajjad (a.s)."





"Sitam ko sabr ka kalma parh'hanay aya hai,
Ali (a.s) kay khoon ka jauhar dikhanay aya hai;
Pehan kay hath-karhi, bairhi, Hussain (a.s) ka baita,
Ameer-e-Shaam ko qaidi bananay aya hai."